Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Service Charges On Amount Transferred Online, Both On Cash And On Loan

  • Service Charges On Amount Transferred Online, Both On Cash And On Loan

    Posted by Abdulhaque Nizamani on January 8, 2024 at 4:50 am

    Me online service provide krta Hun MATLAB pese bhejta hun or us pe charges leta Hun log mujhe physical pese dete hen magar koi mujhe kahe tum pese bhejo mere pass abhi mojod nhe hen or aik date batai us pe dunga Tu kya ye sood ke zumre me nhe aaiga???

    Dr. Irfan Shahzad replied 3 months, 3 weeks ago 3 Members · 2 Replies
  • 2 Replies
  • Service Charges On Amount Transferred Online, Both On Cash And On Loan

    Dr. Irfan Shahzad updated 3 months, 3 weeks ago 3 Members · 2 Replies
  • Umer

    Moderator January 8, 2024 at 6:10 am

    Pehla maamla Qarz ki noiyat ka nhi hai jis main aap physical paisay lai kar kahen aur online paisay bhej rahay hain, yai service charges hi kehlain gai, issay sood nhi kaha jaa sakta.

    Doosray maamlay main jis main aap paisay udhar dai daitay hain aur baad main paisay aur charges wasul kartay hain, is main qarz sai mushabihat paida hoo jati hai aur Jis sai yai Qarz ki noiyat ka maamla ban jata hai aur is par charges sood kai zumray main aayne gai.

    Laikin agar apka asal business online paisay bhaijnay ka hai jis main aap paisay lai kar online kahin aur bhaijtay hain aur us par service charges laitay hain toh is surat main doosra maamla qabil-e-qabul hoo jata hai jis main asal maqsad apka qarz par sood laina nhi hai balkay online paisay bhaijnay kai charges laina hai hai aur saath saath customer ko asani phonchana bh hai.

    Bas yai khayal rahay kai kisi bh jagah qarz par manfat ka taqaza na kiya jaye aur in service changes ko sirf online transfer kai service charges kai tor par genuinely wasul kiya jaye.

    Dr. Irfan Shahzad Sahab ( @Irfan76 ) ki raye bh lai laitay hain is maamlay main.

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar January 8, 2024 at 11:23 pm

    جی عمر قریشی صاحب نے درست جواب دیا ہے۔ آپ اگر سروس چارجز لیتے ہیں تو یہ جائز ہے چاہے نقد ادائیگی پر لیں یا ادھار پر۔ معاملہ اسے مختلف ہو یعنی قرض دے کر اس پر اضافہ بغیر کوئی سروس یا سہولت کے طلب کرنا سود ہے۔

You must be logged in to reply.
Login | Register