Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Youth and Islam Making Fake Documents To Get An Admission Or To Get A Job

Tagged: ,

  • Making Fake Documents To Get An Admission Or To Get A Job

    Posted by Mohammad Siddiqui on February 5, 2024 at 8:07 am

    assalamu alaikum.

    kya school, college ya university me addmission ya company me job ke liye fake certificate ya documents banwa sakte hai agar aadmi ke andar qaabiliyat ho lekin school ya company laazmi taur me degree, certificates ya doosre documents maang rahe ho ?

    Umer replied 2 months, 3 weeks ago 2 Members · 4 Replies
  • 4 Replies
  • Making Fake Documents To Get An Admission Or To Get A Job

    Umer updated 2 months, 3 weeks ago 2 Members · 4 Replies
  • Umer

    Moderator February 7, 2024 at 12:05 am

    Making of Fake Documents is a sin and one should avoid making such documents. However, if one gets a job on the basis of fake degree or through deception then later during that job If one has developed enough competency for the job then income earned from that Job would be Halal. One will be held accountable for the initial act of deception done to get the job or fake degree in the first place. One should try to repent to God for this mistake and should try to make good for that deception through whatever means available.

    Please also refer to the following response of Ghamidi Sahab from 1:06:30 to 1:08:03

    https://youtu.be/pEfET6cqiIY?t=3990

    • Mohammad Siddiqui

      Member February 7, 2024 at 6:00 am

      agar ye gunah hai to fir aise waqt me insaan ko kya sahi raasta ikhtiyaar karna chahiye jabki wo pehle se salahiyat mand hai lekin company ya school ki shart hai wo documents mile par hi daakhila lenge, yaha par baat ye nahi ki gunaah ho gaya aur baad me salahiyat paida ho gai to maafi maang lenge balki salahiyat pehle se maujood hai lekin documents rukawat ban rahe hai, is rukawat ko kaise khatm kiya jaaye jayaz tareeqe se.

    • Umer

      Moderator February 9, 2024 at 1:22 am

      agar qanun main koe gunjaish mojud nhi hai toh phir iska koe hal nhi hai. Dhoka daina/jhoot bolna baray gunahon main shumar hota hai. Islam main in hurmaton main istasna sirf iztirar kai bunyad pai hai, jab insan ko bhot majboori lahak hoojaye jis sai Islam kai ehkamat par amal karna na mumkin hoojaye ya insan ki jaan janay ka khatra hoo, aisi surat main istasna mojud hai kai insan sirf us zarurat ki had tak us haram ka irtiqab kar sakta hai. Ab yai insan nai khud faisal karna hai kai aaya woh iztirar ki surat main hai ya nhi. Aur agar nhi hai toh phir aik Musalman ko Haram kaam sai har surat ijtenab hi karna chaiyai. Agar Iman kai saath aisa kiya jayega ga toh Allah sai umeed rakhni chaiyai kai waqti nuqsan kai iwaz Allah koe aur us sai behtar rasta us kai liya khool daiga.

      Iztirar kai asool ko samajhnay kai liya neechay wali video mukahiza karain:

      Please refer to the video below from 1:13:01 to 1:18:06

  • Mohammad Siddiqui

    Member February 8, 2024 at 10:12 am

    ????

You must be logged in to reply.
Login | Register