-
Need Of Philosophy And History To Understand Religion
assalamu alaikum.. ghamidi sahab ka takeemi pas e manzar awwalan falsafa, adab aur tareekh raha hai, jaha tak mera khayal hai ki falsafa, adab aur tareekh ki maloomaat mazhab ko samajhne me badi madadgaar hoti hai.. mai Qur’an ko samajhne ke liye arbi seekh raha hu lekin mujhe lagta hai ki mazhab aur uski hikmaton ko samajhne ke liye teeno funoon par girift hona zaroori hai aur shayad ghamidi sahab ki mazhab ko lekar wus’at o nud’rat e nazar ki wajah adab aur falsafe ka pas e manzar hai, kyuki adab aur falsafe ne unko sawal karna aur cheezo ko mukhtalif zaawiyo aur gehri nazar se dekhna sikhaya..
meri rehnumai kijiye ki mai falsafa aur tareekh ki sahi aur zaroori maloomat kaha se haasil karu, wo maloomaat jo ghamidi sahab ki samajh se aaj ke ilm o tahqeeq ka mizaaj rakhne waale naujawano ko haasil karni chaahiye..
Reply to Message
Sponsor Ask Ghamidi