Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Youth and Islam Mera Beta Jo 22 Saal Ka Hai Ek Ghair Muslim Guru Ke Chakkar Me Pad Gaya Hai

  • Mera Beta Jo 22 Saal Ka Hai Ek Ghair Muslim Guru Ke Chakkar Me Pad Gaya Hai

    Posted by rehan khan on May 24, 2024 at 10:36 am

    Mohtaram janab ghamidi sahab assalamu alaikum,

    Main india se hu, mera beta 22 saal ka hai, 20 saal ka hone tak wo kafi namazi rozedar raha phir wo engineering ki tayyari online ker raha tha to apne mind ko focus kerne ke liye internet pe iske tariqe talashte karne laga. Isi me usey ek guru jiska naam jaggi vasudev hai uske contact me aa gaya, jiska ilm hame kafi baad me chala. Baharhal ab ye halaat hain k wo hame chhod ke jaane ko tayyar hai kehta hai yog guru banuga. Namaz roza sab chhod diya, mujhse apni maan se mohabbat bahut kam ho gyi, hamari kuch baat nhi sunta hai. Please meri madad kare mai kya karun bohot pareshan hun

    rehan khan replied 2 weeks, 1 day ago 3 Members · 5 Replies
  • 5 Replies
  • Mera Beta Jo 22 Saal Ka Hai Ek Ghair Muslim Guru Ke Chakkar Me Pad Gaya Hai

    rehan khan updated 2 weeks, 1 day ago 3 Members · 5 Replies
  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar May 25, 2024 at 10:32 pm

    Hamray aam musalman Deen ko ilm Kay tareeqay per Nahi samajhtay is waja say unhein ilm Nahi Hoya Kay deen Kay Sacha honay Ki daleel kia hai. Jab unhein apnay ksi maslay Ka hal kahein awr nazar ata hai to ek waha chalay Jatay Hain.

    Ye aik do din Ka Kam Nahi. Betay say kahein Kay deen Kay ilm rkhnay walay logon say milay. Apnay sawal unnkay samnay rakhay. Phir koi fasla karay.

    • rehan khan

      Member June 1, 2024 at 5:25 am

      Jazakallah janab dr irfan sahab,

      Thanks a lot for your kind reply .

      Sabse badi diqqat to yahi hai hamare samne ki wo hamari koi baat hi sunna chahta. Jab baat suney aur us pe kuch ghaur o fikr kare to dimagh me kuch baat Jay, wo apne logic sense khatm kar chuka hai.

      Bus apse dua ki darkhwast h

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar May 25, 2024 at 10:35 pm

    Please refer to the following video

  • Ali

    Member May 27, 2024 at 8:03 am

    Salam(im just a member like rehan sb,im somewhat )
    Rehan sb kai baita kai liyay duain.

    (1-pls tell gcil ceo to never delete videos of ghamidi sb that other ppl make even if they hide logo,one video someone made just got hidden from youtube.Sob)

    2-Mera nazdeek hindu mazhab khuda kee kitabob ke absence mai insan nai haqeeqat jan nai kee koshish kee,aur kia sahee hai kia ghalat hai uss sai mutayen kia,toh sadiyon ka compiled kai meditation kai baad kai tajurbat hai unkee kitabain,na kai ilham.

    Rigveda 1:129 ka translation sai lagta hai kai yah khuda ka ilham nahee balkai gurus kaimeditation sai hasil karda khayalaat ka majmoa.

    Rig veda 10.129 Below

    “Who really knows? Who will here proclaim it?

    Whence was it produced? Whence is this creation?

    Gods came afterwards, with the creation of this universe.

    Who then knows whence it has arisen?

    Whether God’s will created it, or whether He was mute;

    Perhaps it formed itself, or perhaps it did not;

    The Supreme Brahman of the world, all pervasive and all knowing

    He indeed knows, if not, no one knows “

    3-here are useful videos of ghamidi sahab.
    RELIGIONS OF THE WORLD
    https://www.youtube.com/watch?v=VeSL6f4L5Bk
    https://www.youtube.com/playlist?list=PL5E90B4C005064038
    NAMAZ
    https://www.youtube.com/watch?v=AAKnkbl2msQ
    https://www.youtube.com/watch?v=iBg4UzqZgvw
    https://www.youtube.com/watch?v=_1uyX2KXBY4

    • Ali

      Member May 27, 2024 at 8:34 am

      continuation
      4-(edit)
      Woh rig veda kee joh translation hai,uss ko parhnay sai ya Nahee lagta kai Author yah zahir kara kai khuda kee taraf sai kalam hai yah,balkai author lagta hai kahra kai maerai yah khayalat hai. Yanee author kahra 10.129 mai kai khuda ko bhi shayad nahee pata kai kainat kab banee,kia kainat usnai banai yah kisee aur na,yah sab author kah raha hai. Quran ka text mai author khud kahra kai yah khuda kee taraf sai hai,jaisa kai surah ahqaf kee beginning.

      5-Sadguru kai barai mai jo logon nai likah hai,uss sai lagta toh yahee hai kai woh kahrai kai agnosticism mai believe kartai woh. Yanee “mujhai nahee pata khaliq hai kia nahee”,aur yah kee saduru kee apnee hindu taleemat ka maqsad mahaiz aik acha lifestyle hai.

      Iss kai bar aks,mairee nazdeek humaree kitab ka claim yah nahee kai religion is just a good way of life,pick any.
      Balkai
      (a)Yah kitab khuda kee taraf sai hai
      (b)Aur yah dunya mahaiz aik imtehan hai,woh aik din humsai poochai ga kia kia humnai. Jaisa kai surah kahf kee beginning sai lagta kai rab kah raha hai kai yah kitab khabr dar karnai nazil kee.
      (c)Lihaza jab zindagee rab nai imtehan kai liyay banai. Aur saath hee usnai iss imtehan kai pass honai kee rehnomai bhi kee,iss liyay haqiqi rehnumai ko follow karna hai agar pass hona hai iss ultimate exam mai. Nakai islam follow karna koi lifestyle kai liyay.

You must be logged in to reply.
Login | Register