Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Epistemology And Philosophy Incident Of Moses And Khizr & God's Wisdom In Not Killing Other Evil People

  • Incident Of Moses And Khizr & God's Wisdom In Not Killing Other Evil People

    Posted by Ejaj Khan on July 16, 2024 at 10:53 am

    Surah kahaf me musa as aur khijer as ki mulaqat hui jisme unhone kuchh hiqmate wajeh ki unme se ek ye thi ki khizr as ne ek bachhe ka qatl kar diya jiski hiqmat baad me ye batai gayi ki vo bachha bada hoker apne walidain ka na farman banta is liye allah ne use maut dedi to allah ne jaise use jahnnum se bachaya vaise dusro ko maslan abu jahal firon namrood ko kyu nhi bachaya allah unke sath bhi to kuch esa mamla kar sakta tha na fir kisi ke saath esa aur kisi ke aath esa kyu

    Umer replied 6 months, 1 week ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • Incident Of Moses And Khizr & God's Wisdom In Not Killing Other Evil People

  • Umer

    Moderator July 17, 2024 at 3:28 am

    Yai dunya imtehan kai asul kar bani hai. Agar har buray shkas ko maar diya jaye toh us sai yai imtehan khatam hoo jayega. Waqia Khizar sai hamain yai pata chalta hai kai is kainat ko chalanay kai liya khuda musalsal kuch faislay kar raha hai jis main kabhi choti umar main kisi bachay ka mar jana bh shamil hai. Waqia Khizar main bachay ko marnay ki wajah sirf aik misal hai, aur bhot si wajuhat bh hoo sakti hain. Us sai hum qaida kulliya nhi nikal saktay.

    Mazeed tafseel kai liya daikhain:

    Discussion 59457

You must be logged in to reply.
Login | Register