Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Luh-e-mehfooz, Shaitan’S Power And Black Magic

  • Luh-e-mehfooz, Shaitan’S Power And Black Magic

    Posted by Rimsha on January 12, 2023 at 7:19 am

    AOA Sir

    @UmerQureshi

    Ap ny jawb main kaha Tha

    “Luh-e-mehfuz kai baray main aur jinn-o-shayaten kai baray main hamain bhot kam malumat dee gae hai, toh uski bunyad par koe bh baat qatae tor pai nhi kahi jaa sakti”

    is se apki kya murad ha k quran ny btya nai tafseel se k shaitan taqdeer badal sakte hn jo luh-e-mehfooz pe likhi ha is lye ye samjha jay ga k shaitan luh-e-mefoz ko badal bh sakte hain aur nahi bh ya phir wo badal nai skte lakin log bs aisa sochte hn aur shirk krte hain??

    agr aisa ha tu phir tu ALLAH PAK ne khud shaitan ko ikhtiyar dy dya ha taqdeer badlne ka phir dua b badal skti aur shaitan b phir tu shirk pehle se majood ha kisi ko krne ki zarort nai

    agr ye sch ha log shaitan se mada le kr ameer ho jaty hn apne bry bry kaam krwate hn ya koe na jaiz kaam lete hn tu shaitan unki taqdeer badal rha ALLAH Maaf kry? ye concept samjh nahi arha. bs ye kehna ka quran ma nahi ha kuch is bry ma lakin ye is bt ki wazahat kaisy kry ga logon k lye k ALLAH PAK ny apna ikhtyr kaisy dy dya ye sb tu ALLAH k hath ma hai?

    ya ALLAH PAK ko pta tha ye madad ly ga shaitan se ye kam kry ga shaitan us sy barh kr nai kr skta?

    aur kya sitary b taqdeer b badalte hn ya bs sitaron se future btya jta ha

    ye wazahat kr dijye bht pacheeda masla ha kuch samj nai arha uljhan ka bais hai

    Shukria

    Rimsha replied 1 year, 10 months ago 3 Members · 16 Replies
  • 16 Replies
  • Luh-e-mehfooz, Shaitan’S Power And Black Magic

    Rimsha updated 1 year, 10 months ago 3 Members · 16 Replies
  • Rimsha

    Member January 12, 2023 at 7:35 am

    Aur kya Aisy ilm se maslan kaly jado se kiun k is ma shaitan shamil hote kisi ki zindgi barhai ja sakti ha kisi ko khas faidy dye ja skte hn kisi ko bht shohrat di ja skti ha iski aik misal aj kal illuminati b ha

    agr illuminati ka taluq kaly jadu se nahi b hai tu kya kaly jadu ma shaitan ko bht power hasil ha kya ALLAH PAK ny koe limit nai rkhi logon k rawayon se lagta ha jo kala jadu krty ya krwaty jaisy ALLAH Maaf kry wo sb kr skte hain agr ALLAH PAK ny waziya tor pr in ki hadood nahi batai jo tajurby sy pata chal rha tu ye cheez tu logon ko gumrah kr skti hai k wo pta nahi kya kya kr skte hain

  • Shah Alam

    Member January 12, 2023 at 3:28 pm

    II also waiting for answer. Taqdeer, luh-e mehfuz aur dua taqdeer badal sakti he,,, in sab ko lekar mein bhi uljan mein hu. Ek aur baat jod deta hu, kya kisi ki age or time of death pehle se muqarrar he tou isko murder aur suicide ke hawale se samhajne mw dikkat hoti he

  • Umer

    Moderator January 17, 2023 at 3:45 pm

    Please post one question per post in accordance with Ask Ghamidi’s Code of Conduct.

    It becomes difficult to answer when there are multiple questions in one post and those too in a scattered manner.

    Please go through my responses once again and post follow-up questions accordingly. After reading this post, it is evident that some of my responses have been misunderstood. A second reading will help you in both undertanding those responses and in creating follow-up questions to my responses:

    Discussion 69719 • Reply 78585

    Discussion 69719 • Reply 78696

  • Rimsha

    Member January 17, 2023 at 4:57 pm

    Jee Sir main samjh gai hain shaid sawal ma tarteeb nahi aur us k sth dosra pehlo b jor dya mazrat chahti hun

    Ap kya samjha sakte hain k shaitan ko ALLAH PAK ne agr taqat di hai tu kya wo sb kuch kar sakta hai? zindgi mout rizq ye sb tu ALLAH k hath ma hai kya shaitan mtlb jinnat ma se un k ikhtiyar ma aisa kuch hai? ye mera sawal hai

    kiun k kaly jadu se shaitan ko qabo kr k un se kis qisam k kam krwaye jate hain kya unka ye sb ikhtyar ha agr ap kahain humain malomat nai tu log apne tajurby bayan krte hn kuch logon ko jado se bemar kr dya jata ha aur b bht kuch. log un se apne bry bry kam krwate ameeri paisa zindgi mout kya ye sb such ha agr malomat ni di gai tu logon k tajurby ki bunyad pr sch hai?

    phir kaisy ALLAH PAK unko wo sb krne dete hn jb k ye sb tu ALLAH PAK k qabza-e-qudrat ma ha

    wazahat kr dijye

    • Umer

      Moderator January 26, 2023 at 1:14 pm

      Allah Pak unko bilkul usi asool par karnay daitay hain jis asool par insanon ko aik dooray ko nuqsan phonchanay ka ikhteyar diya gaya hai. Jaisay is madi dunya kai qawaneen ko istemal karkai nuqsan phonchaya jaa sakta hai, isi tarah nafsi ulum kai qawaneen sai bh nuqsan phonchaya jaa sakta hai. Inhi nafsi ulum ki aik aala qisam jinnat kai zariyai kaam karwanay ki hai.

      Yai wala jawab bh sunain:

      Discussion 50493 • Reply 50518

  • Rimsha

    Member January 21, 2023 at 6:14 pm

    Baraye Mehrbani Sir Wazahat farma dijye

  • Rimsha

    Member January 26, 2023 at 2:23 pm

    sir lakin yaha sawal paida hota ha na k mamlat agr bilkul insan jaisy krty hn jis tarh jitna insan ko ye mamlat krne ka ikhtyr dya gya lakin unko humse zaida salahiyat b tu di gai ha

    aur ye k jinnat zindgi lambi kr skte hain jinnat ammer bana sakte hn jinnat bemar bana sakte hn ye sb sch b ho skta ha agr tajurby ki bt krain tu

    phir ye shirk kaisy hoga

    • Umer

      Moderator January 26, 2023 at 2:39 pm

      Shirk yai hai kai baghair kisi daleel kai kisi cheez ko Allah kai khalq-o-amar main shareek bana daina. Jaisay kisi sufi kai baray main yai aqeeda kai us kai pass dunya ka nizam hai etc. Yai aqeeda shirk hai. Jinnat kai baray main yai aqeeda rakhna kai yai kisi ka rizq kam ya zayada kar saktay hain, shirkiya aqeeda hai.

      Laikin maamlat main rukawat dal saktay hon gai (baqi nafsi ulum ki tarah), yai bilkul mumkin hai, jaisay koe madi cheez rukawat daal daitee hai, laikin khuda kai amar ko hila nhi saktay. Jis tarah aik virus apko beemar kar sakta hai usi tarah jinnat bh kuch kar saktay hon gai, laikin iska yai matlab nhi kai woh khuda kai izan ko hila saktay hain, yai khuda kai faislay ko badal saktay hain yai uskai amar main shareek hogaye hain.

  • Rimsha

    Member January 26, 2023 at 2:24 pm

    aur apki aik bt ne mazrat k sth bht confusion aur mushkil c paida kr di luh-e-mefoz k mutaliq.

    tu kya shaitan luh-e-mefoz tk rasai rkhte hn phir tu wo sb jante hn taqdeer b phir badal b sakte hn phir tu kuch nai bachta phir tu ALLAH ne unko sb ilhtyr dy dya aur sth ye keh dya ye shirk ha ye bt samj nai arhi

    • Umer

      Moderator January 26, 2023 at 2:40 pm

      luh-e-mehfooz kai baray main Quran main tafseel nhi hai, toh hamain nhi pata kai woh kya cheez hai. Sirf itna bataya gaya hai kai Quran wahan sai Jibreel (AS) laatay thaay.

  • Rimsha

    Member January 26, 2023 at 2:51 pm

    Jee sir man lete hn k luh-e-mefoz k bry ma zaida nai pta lakin itna malom ha k Allah ne sb pehle likh lya kiun k Allah ko har chez ka pehle ilm tha taqdeer Allah ne likh di ha phir kya shaitan taqdeer badal skte hain?

    ap ne kaha rukawat dal skte hn rukawat dal kr he rizq ko kam kr sktehn na aur unki madad kr k barha sakte hn

    kya zindgi barha sakte? kiun k log ye dawa krte hn

    • Umer

      Moderator January 26, 2023 at 3:07 pm

      Mairay pass jannay ka koe ilm nhi kai luh-e-mehfuz kya hai aur us main kya likha hua hai. Agar maan lain kai us main taqdeer kai faislay hain, toh phir usay koe bh nhi badal sakta, na hi jinnat aur na hi koe aur.

      Jinnat sirf thori si sun bun kar saktay hain asmanon sai, us sai agay unhain bh rasai nhi. Tafseel kai liya daikhain Quran 72:8-9.

      ___

      Jinnat rizq ki hasooli main Rukawat daal saktay hon gai nafsi zariyai sai jaisay apka employer apkay rizq main rukawat daal sakta hai, laikin iska yai matlab nhi kai ussay apkai rizq main kammi ya zayadti ka poora ikhtiyar mil gaya hai. Jinnat ka maamla bh baghair kisi thoos saboot kai issi par qayas kiya jaa sakta hai. Zindagi aur maut ka maamla bh isi usul par samjha jaa sakta hai. koe virus apko beemar toh kar sakta hai aur uski waja sai maut bh waqai hoo sakti hai, laikin maut Allah kai izan sai hi hogi, virus ya beemari aik zariya ban gaya, aisay hi jinnat kai maamlay ko samajhna chaiyai. Jaisay kai hum nai virus ko maut ka ikhteyar nhi diys, issi tarah jinnat kai pass bh koe aisa ikhteyar nhi hoo sakta.

  • Rimsha

    Member January 26, 2023 at 3:14 pm

    Jee bilkul theek

    aik last point waziya kr dye jo apne explain kya ye black magic pe isi tarh samjha jay ga k kaly jadu se jinnat ko qaboo ma kr k un se kam lye jty wo tarh hoty bilkul us tarh jaisy insan kr skte kisi ka kam kharab.

    aur apne kaha luh-e-mefoz ma taqdeer ha ya ye pta nai lakin Aik Video ma Janab Ghamidi ne itna kaha sawal jawab ma k taqdeer likh di gai ha kuch cheezain Allah ne fix kr di jaisy kahan paida hona etc kuch insan ki free will faisly aur dua pe chor di

    tu ye shaitan interfair kr skta

    • Umer

      Moderator January 31, 2023 at 5:05 pm

      Nhi, jo cheezain Allah nai taqdeer main fix kardee hain unhain koe nhi badal sakta, jaisay kahan paida hona hai etc.. Jin cheezon main ikhtiyar diya hai unhain hum bh apni freewill sai kar bh saktay hain aur koe bahir qi Quwat bh hum par asar andaz hoo sakti hai (insan aur jinn yaksan). Ab yai taqdeer kahan pai likhi hai, luh-e-mehfooz main ya kahen aur, iska hamain nhi pata.

  • Rimsha

    Member January 31, 2023 at 5:29 pm

    JAZAK ALLAH

    Boht shukria sir

You must be logged in to reply.
Login | Register