Forums › Forums › Epistemology And Philosophy › Tasawwuf And Spirituality
-
Tasawwuf And Spirituality
Posted by Ahsan Syed on July 25, 2021 at 2:13 amAssalam walikum,
Maine dekh hai jo spirituality ko follow krne wale log hai other than muslim, unki baate bhot deep hoti hai, aur kuch sahi bhi lgti hai, but vo heaven and hell mai itna believe nhi krte vo bs Who I am pr hi baat krte hai, jese ki sab kuch ek hai aur bhot se chize aap logo ko pta hi hoga. To mera sawal hai inse glti kha ho rhi hai kyuki ye khush bhi rhete hai ache bhi hote hai religion ki ldai mai bhi nhi hote, fir ye log kha chuk jaate hai. Aur ye muslim spiritual logo ki baat nhi kr rha main ye kuch alg hi hote hai.
Altamash Ali replied 3 years, 4 months ago 3 Members · 3 Replies -
3 Replies
-
Tasawwuf And Spirituality
-
Umer
Moderator July 25, 2021 at 3:27 amAgar apka ishara sufism ki taraf hai, to unki ghalti deen kai bunyadi aqaeed main hai, jiski tafseel in lectures main daikh saktay hain aap:
Please also see:
-
Altamash Ali
Member July 25, 2021 at 4:59 amSalam,,..
‘vo bs Who I am pr hi baat krte hai’
who i am?
ek insan . insan means :- ek nafs, aur badan ke saath. kya dekhte hai ham?
bahar ki taraf – saari cheeze follow kar rahi hai ek qanoon ko, physical laws ko.
ye kiu ek hi rule follow kar rahe hai? aur ek hi rule par yeh sab aa kyu rahe hai?
andar ki taraf – mai kis cheez ko follow kar raha hun?
apne desires ko? bina kisi basic ground ki baat ko? ya kisi hope ko? ki kucch to ho hi jayega? ya dekha jayega? pr kya dekha jayega?
~~~~
zara dekho yeh nadi oopar se behti hai, kahan se aati hai yeh? ek insan bola, “oopar ek bada magarmacch hai, woh jab chahe is nadi ko bahne deta hai aur jab chahta hai rok leta hai.” yeh bat is insan ko kisne batai? ek insan bola ‘yeh maine apne baap dada se suna hai’ ek doosra insan bola ‘mujhe lagta hai ki yeh baat sach hai’ ek teesra bola ‘haan haan yeh dono hi sacche hai’….. 4th insan ne thodi courage dikhyi aur kaha ‘chalo oopar chal ke dekhte hai, maloom ho jayega..’
oopar kya dikhayi diya? ki koi magarmacch nahi hai, na koi ajeeb cheez, wohi physical rules jo neeche zameen par hai, pr yeh rules yeh kyu hai is duniya mai?
~~~~~~~~~~~~
sab cheeze kucch na kucch follow kar rahi hai, aur dekho to kitni shanti se follow kar rahi hai, na kuch gham, na kuch parwah, yeh rules to insan inke andar fit nahi karte, yeh tree khada rehta hai, yeh brick padi rehti hai chamakti rehti hai.
haa, yeh sab follow karte hai woh, jo inke paas hai, pr dekho kaise follow karte hai? apne andar jhhank kar, apni bahari cheezo ko bhula kar.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
mere andar kya hai??? chalo apne bahari maamlat se kat kar dekhte hai.. start karte hai ‘ankhe band’
yaha kuch dikhta to nahi, pr kuch mehsoos hota hai, achanak se ek koyal ki koo koo sunai di,, aur usi waqt mujhe ek koyal ki image si dikhayi di? magar meri ankhe to band hai, ruko,,ab zara socho yeh chidiya mujhe dikhayi kyu di? zaroor mere knowledge me thi aur me koyal ko ignore bhi nahi karta tha isliye, pr ankhe to bnd thi, mtlb yeh ki mai koyal pe dhyan deta tha… tbhi to jb maine socha ki bahar ki cheezo pr dhyan na dun, tb bbhi koyal mere zehen me aa gayi.
phir se ankhe bnd, koi aawaz nahi kucch nahi, ab mujhe kuch image bhi dikhayi nahi deti, pr kiu nhi dikhayi deti? ankhe kholi, to dekha ek kamra hai, aur zameen hai, hmm, mai to apne ghar ki zameen pr kabhi dhyan hi nahi deta tha, nahi maine kabhi apni chhat ki taraf tavajjoh di, pr yeh bolti to nhi hai.
5 minute bitaye, ek billi bahar se aakar farsh pr aakar let gayi, bechari garmi se pareshan thi. thandi zameen ne ise rahat di aur iski madad ki. wait zameen ne madad ki? kaise touch krke!
mujhe zameen pr bethna chahiye, zameen touch kari. haa ab sahi hai, zameen, thandi, aur sakht, shant, ab try karte hai.. aur dekho chhat dhoop se bachati hai..
phir se ankhe bnd’ – mehsoos hua ki zameen hai, mehsoos hua ki chhat mujhe dhoop se bacha rahi hai. image bani, ek sign ko apne andar notice kara.
khud se kaha, Dekho ham duniya wohi cheeze dekh paate hai, jinpe ham tavajjo dete hai, aur uske shukrmand rehte hai, use jhutlate nahi hai..
chlo, ek aur try karte hai, sochna shuru kiya paris ke bare me, aur image dikhi aur mehsoos hua jaha tak hua.
kya baat hai, mai jispr dhyan deta hun us cheez ki image si dikhayi deti hai aur mehsoos hota hai,, zabardast..
Chalo ab dhyan karne ki koshish kare hai ki kyu yeh sab, yeh sari duniya follow kar rahi hai ek hi physical rule ko?
dikhayi to kuch nahi diya trees, mountains, rivers ke alawa, aur na hi samajh aaya kyu?
par sawal!!! kya yeh trees, mountain, in physical rules ko aapasi razamandi (mutual consent) se ada kar rahe hai? pr kaise ho sakte hai ke saare ke saare ek hi rule to maane? koi ek tree to hona chahiye, jo na follow kare, koi ek nadi to honi chahiye jo apni baat kare!!!
insan to nahi mante ek baat ko, koi ek to dislike zaroor karta hai..
zaroor inhe kisi ne bola hai ki follow karo in rules ko, aur yeh follow kar rahe hai, pr kaun ho sakta hai itna taqatwar ke uska khauf itna zyada hai ki apni marzi se koi apni had se bahar nahi aa raha hai?
aur yeh trees mountain kyu dar rahe hai usse kya ukhad lega woh inka??
kucch der betha raha, ghanto socha, dekha, dimag lagaya, ek shakhs bola hato meri jagah se, yeh meri hai, aur use hatna pada.
phir socha, mai kyu hata? kyu ki woh shakhs is jagah ka malik hai. isse kya hota hai? pr mai nahi bhi hat sakta tha woh koi khuda thode hi na hai
khuda? yeh lafz kisne sikhaya? bahot se log mante hai ise? pr maine ise is jagah istemal kyu kiya? yeh khuda kya hai?
a person said :- God is eternal, and uncaused, nothing comparable..
eternal? is this tree not eternal? no it isnt, it was born, and will die.
wapas, ghar ki taraf…
chalo koshish karte hai ankhe bnd karke khuda ke bare me sochte hai.. khuda hamesha se hai, hamesha rahega, achanak se yaad aaya mai to paida hua hun aur mar jaunga, zabardast hai too. achanak se dil ko sukoon hasil hua usko yaad karke. yeh sukoon kaha se aaya? beshak yeh usi ne bheja hai.. zabardast hai woh.. mera kya wajood, aaj hoo kal phir nahi, par too to hai, aur rahega.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
TO AB BATAO KYA SAWAL HAI?
‘ldai mai bhi nhi hote, fir ye log kha chuk jaate hai?’
paighambar(pbuh) ke nazdeek agar kabhi kisi tarah ki ladai hoti thi to voh sachai ke saath khade rehte the, aur mazloom ko uska haq dilate the
assume karo kisi shakhs ke pados me ladai ho rahi hai, aur aur voh uspr koi dhyan nahi de raha hai, aur kuch der baad khabar aati hai, ek padosi ne doosre padosi ke oopar brick phenk di, aur jaise hi us shakhs ise suna tumne ise bhi ignore kar diya,
aur ek cheez ignore kari jise kehte hai ‘Bura lagna’, us shaks ne in dono interconnected cheezo ko ignore kiya, aur yeh usne ignore kyu kiya?
kyuki woh pehle se zulm karta tha khud pr ya phir doosro pr.. ab iska jawab (maine pehle likha hai aap yaha padh sakte hai : Discussion 53804 • Reply 54101 )
pr ha yeh baat sach hai ki agar voh khud ko aur apne bahar ke signs ko pr zulm na kare aur na hi ignore kare to
من عرف نفسه فقد عرف ربه
He who knows himself knows his Lord.
Salam…
-
Altamash Ali
Member July 25, 2021 at 5:08 amEdit,,,,
pr ha yeh baat sach hai ki agar voh khud pr zulm na kare aur apne bahar ke signs ko na jhutlaye na hi ignore kare to….
-
Sponsor Ask Ghamidi