-
Kia Allah Jhoot Bol Skta Hai?
Aik sawal jo mj pichly dino sy tang kiay ja raha hai…. Socha ap sy he poch lia jae
Sawal ye hai k kia Allah hm sy jhoot bol sakta hai?
Ab pehli nazar dekhtay he ap k expected alfaz ye bantay hain “naoozbillah astagfirullah”. Lekin jitna simple ye sawal hai utna he complex is ka answer dena banta hai.
Baat yaha sy bani k kahi Facebook py koi do logu ko kisi post py behs kertay dekha jis ka end kch aisay bna k Allah ne ye farmaya hai r Allah jhoot ni bolta so ye wali baat theek.(details miss krnay k liay mazrat).
Isy dekh k mjy feel hua k log smjtay hain kiu k Allah ny ye baat kahi hai to ab ye usy pori krny he paray gi matlb Allah apna kia hua wada pora krny ka paband hain. Hala k Allha kisi ko jawab dh ni hai wo chahay jo kray koi us sy ni pocha skta k krna to ap ny ye tha lekin kia ye kiu? Kiu k agr hm ye smjain k Allah ny ye baat kahi hai to ab usy yahi krni pray gi ye k ab Allah k liay zaroori hai k wo apna wada pora karay to ye Allah honay ki definition k he khilaf hai.
Jb k agr ye maan lia jae k Allah tala hum sy jhoot bol saktay hain to ye b bht sy masail ko janam deta hai matlb phir hm Allah py aitbar kesay karain?
Ab r raha sawal k kia khuda jhoot bol skta hai is ja jawab ha mai dia jiay to b masla r na mai dia jae to phir b masla.
Ap log isy kesy smjty hain mehrbani frna k apni rae ka izhar ki jiay.
Sponsor Ask Ghamidi