Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Doubts In Decisions Made To Follow A Particular Interpretation Of Inheritance

Tagged: 

  • Doubts In Decisions Made To Follow A Particular Interpretation Of Inheritance

    Posted by ashif ahmed on April 10, 2022 at 4:56 am

    mera sawal hei ki munafiq ka matalab aur apne khwahish ki perwi karna ka matalab kya hei mene inheritance ke mutabiq sawal kiya tha kyuki mujhe pehle bohot dar lag raha tha ki waris ke haq me wasiat nehi ho sakti kisi ek aulad akele koi gift nehi de sakte etc. in mamlo me per meine ghamidi sab ko jan suna tab mujhe thoda sa khusi hua ki sayad mere masla koi masla hee nehi aur aisa bhi nehi ke meine ghamidi ki is bat ko dekh kar ya sunkar unke nukta e nazar per gaur karna start Kiya pehle se hee gaur kar raha hu aur ho sakta hei mei unse kuch mamlo me ikhtilaf karu agar mujhe samajh ya dusre koi nukta zyada logical lage per buniyaadi ittifaq hei mujhe ki deen me nabi s a.w me sirf quran aur sunnah hee hamein diya gaya

    aur hadith o me jo hei woh deen me pehle se he hei asal kanoon pehle moujud hei .

    aur inheritance ke mamle me bhi mene dekha ghamidi sab ka nukta alag nehi hei dusre ulma ko bhi meine dekha hei zaroorat aur khidmat ke bina per tohfa diya ja sakta hei apne waris o ko

    per mujhe ek hee fikar hei ki agar yeh pata na ho ki kis liye diya tha woh tohfa

    khidmat zaroorat ,kis bina be dono hee ho bhi sakta hei … per agar pata na ho toh baki ulma toh kehta hei phirse batwara karna padega halaki ghamidi sab ka nukta is mamle meujhe pata nehi hei per yaha mujhe bataya gaya jab meine pucha ki is mamle me kya hamein khuda aur bande ke beach jis ne yeh tohfa ,ya wasiat kee hogi chorna chahiye toh mujhe answer Mila ha

    per jo ulma keh raha hei ki nehi firse batwara karna chahiye

    mujhe Dene me koi problem nehi hei lekin mere hath me kuch nehi hei mere father ne is bat se inkar kar diya jab meine kaha tha unhone kaha ki hamne wirasat me se kuch nehi liya hamne toh wohi liya jo humko tumhare grandfather ne diya tha ..aur firse yeh sab karne se mujhe mana kar diya keh se bhi unke behen o ko fasad hone ka bhi khatra ho sakta hei lekin mujhe dar hei ki agar is mamle me jo log keh rahe hei firse batwara karna chahiye nehi toh quran me wasiat jo khuda ke marji ke mutabiq na ho toh jahannam jane ki bat bhi hei

    per ghamidi sab ke nukta o yaha se sunkar ab mujhe yeh bhi lag raha hei sayad wasiat ho bhi sakta hei toh mujhe apne father ko is mamle jor nehi dena chahiye agar mere Walid guzar gaye aur me Zinda rahu mere hisse me jo ayega kya mujhe ussme se unke beheno ko dena chahiye agar me na du kya in mamlo meei bhi pakda ja sakta hu aur mere Walid ka kya hoga agar unke shoch ke mutabiq woh keh raha hei ki woh bas tohfa ya wasiat, me se hee le raha hei wirasat me se kuch nehi liya

    ashif ahmed replied 2 years, 6 months ago 2 Members · 3 Replies
  • 3 Replies
  • Doubts In Decisions Made To Follow A Particular Interpretation Of Inheritance

    ashif ahmed updated 2 years, 6 months ago 2 Members · 3 Replies
  • ashif ahmed

    Member April 10, 2022 at 5:02 am

    aur isiliye mujhe dar lag raha hei ki agar mei asani ke liye sab kuch khuda aur us bande ke uper chor du kya yeh munafiqat hogi kyuki mere mujhe yeh nehi bata ki woh tohfa ya wasiat khidmat zaroorat kis bina per hui hei mujhe apne Walid ke behen o ke sath bhi na insafi nehi hona chahiye iske dar hei aur apne Walid ka bhi fikar hei aur sabse pehle mujhe khudka bhi fikar hei in maslo se meine kaise bahar awoon .

  • Umer

    Moderator April 10, 2022 at 3:48 pm

    Iska Jawab Tafseel sai yahan diya jaa chuka hai:

    Discussion 63736

    Laikin is kai bawajud agar aap apnay dil ki tasalli chahtay hain toh apnay hissay ki jaidad dosron ko gift dai saktay hain.

  • ashif ahmed

    Member April 11, 2022 at 4:22 am

    abhi toh filhaal mere pas koi zaidat nehi hei nahi koi wasiat hei allah karein Walid sab ko aur sehat aur lambi umer de .

    toh mujhe Walid sab ko is barein me nehi kehna chahiye aur unka bhi yehi manna hei ki yeh unke Walid de unko diya hei .. toh jab agar mujhe kuch zaidat me hissa mile kabhi toh mein inshahallah dusro ki madad karunga zitna ho sakein agar woh zaidat rakhna halal hoga tohein rakhna pasand karunga per unse ane wale kamai se inshahallah dusro ki madad karunga jitna ho sakein per agar zaij hoga tab rakhna pasand karunga…

You must be logged in to reply.
Login | Register