-
Reciting Fatiha And Other Issues Behind Imam During Congregational Salah
assalam alaikum
mera yeh sawal namaz ko lekar ”
1st => kabhi kabhi aisa hota hei ki mujse masjid jate jate kabhi surah fatiha padhne ka waqt nehi milta imam jate hee ruku kar deta aur itna waqt bhi nehi hota ki me surah fatiha padhkar ruku mila saku kya sirf ruku milane se mere rakat mukammal hogi ya us rakat ko ada karna hoga .
2nd => aur kabhi kabhi aisa hota hei jahiri namaz o me imam surah fatiha padhna padhkar khatam karne ke bad mei shamil hota hu kyki me bhi imam Malik ka Rao sahi samajhta hu toh jahiri rakat o me fatiha nehi padhta toh agar mei fatiha padhne ke bad shamil ho jaou mene toh suna bhi nehi hoga us rakat ka fathiha kya mujhe is mamle me bhi rakat mukammal hoga ya phirse padhna hoga
3rd => aur kabhi kabhi akhiri do rakaton me surah fatiha padhne ke waje se ruku me jab jata hu 1-2 second bhi nehi hota matlab me subhana rabbiaal azeem 1 bar bhi muqammal nehi kar pata imam samiallhu limanhamidah kehkar ruku se uth jata hei kya is mamle me bhi kya mujhe namaz me us rakat ko lotana hoga ..
Sponsor Ask Ghamidi