-
Why Disagree With Pervez Sahab
salam,quraan ki kuch lines ya ayate par ke baat ko samajhna mushkil hota hai kai baar insaan word to word pakar lita hai or ahadees me bhi isy tarha baat samajhne ki koshish karta hai to ussy kaha jata hai ke context ko or us dour ko nazar me rakh kar quraan or ahadees ko samajhna chahiye,jaisa ke janab ghamidi sahab ka kehna hai ke quraan me formula bataya gaya hai har ek baat ko explain nahi kiya gaya main is baat se satisfied ho,lekin kuch batain samajh me nahi aati jaisy ke ustaad e muhtaram ne farmaaya ki namaaz behayaion or buraion se rokti hai na ki rok diti hai,theek hai matlab aap namaaz ko khushu or khuzu se ada karo Allah se darty hue mamlat karo dheere dheere aap buraion se rok jaoge,ye baat bilkul sahi hai par general aisa nahi hai yaha pe ghulam ahmed pervez sahab ka kehna hai ke namaaz ke mainy kai jagah nizaam ata hai, namaaz buraion or behayeion se nizaam hone par rokegi agar aap nizaam hi aisa banae ya qanoon to log khud ba khud rok jayenge,or is waqt ham europe countries me deekhty hai log namaz nahi party phir bhi kuch basic buraion se roke hai,or dusry ghair muslim bhai bhi in gunaho se bachty hai vo bhi to namaaz nahi parte.to practicaly ye deekha gaya ke qanoon ya nizaam banane par log zyaada rokty hai,hame ye samajh me nahi araha ke aisa kyun kaha gaya ke pervez sahab ne arbi apne ghar ki chair pe baith kar seekhli.pervez sahab ki vo cheeze batade jo quraan ke mutabiq ghalat hai plz
Sponsor Ask Ghamidi