Forums › Forums › Sources of Islam › Does Salah Prevent Us From Evil And Fawahish As Claimed By Quran?
-
Does Salah Prevent Us From Evil And Fawahish As Claimed By Quran?
Posted by ashif ahmed on June 4, 2022 at 10:32 pmsurah 29 ankabut ayat 45
namaz kayam karo namaz burai aur fawahis se rokta hei …
lekin ribayat me bhi hei ki sahaba se zina ho gaya tha aur aj kal bhi log namaz padhte hei lekin burai ho hee jati hei toh kya is ayat ko koi alag maino me liya jaa sakta hei jaise ki ek past ke quranist ne liya tha me nam nehi Lena chahta par umeed hei ap samajh gaye honge
Umer replied 2 years, 7 months ago 3 Members · 5 Replies -
5 Replies
-
Does Salah Prevent Us From Evil And Fawahish As Claimed By Quran?
-
ashif ahmed
Member June 4, 2022 at 11:37 pmI think isme asal point allah ki yaad agar koi namaz Mee hee allah ki yaad se gaflat ho namaz se tab burai ho sakte hei aur phir bhi ek bat thoda confusion ho raha hei burai se rokta hei iska matlab kya hei yakinan namaz burai se rokta hei . aur rokta hei lekin aisa bhi toh ho sakta hei hei jaise ki kisi ke rokne par bhi hum na ruke matlab yaha par zabardasti roke jane ki bat kahi gayi hei ya aam tour jaise jaise ma bap bhi galat baton se rokte hei par aulad kabhi kabhi sunta hei … rehnummai kare is mamle me
-
Fatima
Member June 5, 2022 at 12:26 amyahi to mera point hai ki kya ham is lafz ko sahi samjhe hai,kyun namaaz ka tarjuma har jagah namaaz padhne hi se liya gaya hai kya context me ye lafz har bar sirf prayer ke liye hi istemal hua hai.to phir context ka matlab hi kya hua kyun context deekha jaye,jab sirf har jagah salat ka meaning namaaz parna hi hai,ye to context decide karega ke kaha namaaz padhna hai or kaha nizaam banana hai,namaz beshak buraiyon or behayaion se rokti hai iske sath hi ham deehty hai ki jaisa aapne ne kaha ke log namz parte hai burai kar rahe hai ye baat bilkul sahi hai burai se vahi rokega jo khuda se darne wala hoga akhirat ki fikr me hoga,ye to individually baat hogai or nizam ya qanoon tabhi banta hai jab logo ke huquq pamal hote hai,society currept hoti hai to kya buraion or behayaion se aise bary gunaah nahi ho rahe,to kyu na nizaam banake dekha jaye jaisa european countries me hai or kamaal ki baat to ye hai ki ham sabhi un contries ko pasand kar rahe hai shayad unhone hamary molvion se behtar samjha hai or ham abhi bhi usi frame me qaid hai,hamari guzarish hai ki hamary scholars pervez sahab ki kuch baato pe ummat ki bhalai ke liye ghaur kare please.
-
ashif ahmed
Member June 5, 2022 at 5:15 amI think har jagah namaz ke liye nehi aya hei dua ke liye use hua hei par is ayat me namaz ko qayam karne ko bat Hui hei
aur is ayat me وَأَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَ salat ka lafz ke sath qayam karne ki baat ayi hei toh namaz hee hoga aur salat ke lafz ap koi apne taraf se nehi create kar sakte toh is context me yeh namaz he hei .
meine parevez sab ko apke sawal ke bad Jake suna toh itni bat ko sunne ki bat mujhe bhi kuch khatak hua jab
إنَّ ٱلصَّلَوٰةَ تَنْهَىٰ عَنِ ٱلْفَحْشَآءِ وَٱلْمُنكَرِ
jaise ki parevez sab ki argument se sunne Wale ki hoti hei lekin usi ayat me yeh bhi hei
وَلَذِكْرُ ٱللَّهِ أَكْبَرُ ۗ وَٱللَّهُ يَعْلَمُ مَا تَصْنَعُونَ
sara mamla allah ke yad dihani hei chahe koi namaz hazar bar namaz padh le agar namaz me allah ki yad hee nehi hoga toh woh namaz kaisa namaz woh saaf bata chalta allah ki yad dihani jo jitna karega utna uski fitrat utni hee saf hoga
surah baqarah ayat 152
فَٱذْكُرُونِىٓ أَذْكُرْكُمْ وَٱشْكُرُوا۟ لِى وَلَا تَكْفُرُونِ
So remember Me and I will remember you, and give thanks to Me and be not ungrateful.
in baton se pata chatla apki yaddihani ke apki apko shukargujar bhi hona chahiye
taki apke nafs ki perwi se bahein rahe
lekin iska matlab yeh sayad nehi liya ja sakta hei hei ki namaz padhne se ap burai karna chaho tab bhi na kar paye iska matlab sayad yeh hei ki allah ke yad jab ham karenge toh burai se khud bachte rahenge ya toh khouf se ya toh muhabbat me aur fitrat ko pehchan payege aur usko purify kar payenge par allah ne hamein ikhtiyar diya hei agar fitrat ki kehne par bhi ham na ruke burai se toh yaha zabardasti hamein nehi Roka jayega .
surah shams
وَنَفْسٍۢ وَمَا سَوَّىٰهَ
And [by] the soul and He who proportioned it
فَأَلْهَمَهَا فُجُورَهَا وَتَقْوَىٰهَا
And inspired it [with discernment of] its wickedness and its righteousness,
قَدْ أَفْلَحَ مَن زَكَّىٰهَا
He has succeeded who purifies it
وَقَدْ خَابَ مَن دَسَّىٰهَا
And he has failed who instills it [with corruption].
in baton se saf bata chalta hei ki jab fitnat rokegi burai se tab hamein faisla karna hoga aur allah ko karenge toh allah hamein yad karega ab yeh toh allah hee janta hei ki hamne kaise yad kiya hoga kisi keq mar dusre ko haqir samajh kar dil me logo liye bughz rakh kar dil ki bat allah behtar janta hei aur burai alag bat hoti hei mistake alag bat bohot se muslim hei Jo burai se bach kar rehta hei alhamdulillah par mistake ho jati hei galti ho jati hei iske liye hamein tauba astagfar karna chahiye
meine aise samjha hei ab tak inshahallah @UmerQureshi sab humko atche tarah se is ayat ko samjheyenge aur ghamidi sab ne bhi isme kiya likha hei hamein rehnummai karenge
-
-
Fatima
Member June 5, 2022 at 6:22 amham sirf itna chahty hai ke apni koshish se sahi baat tak pahuch sake.
-
Umer
Moderator June 6, 2022 at 2:03 amNamaz buraiyon sai rokti hai, rok daitee nhi hai. Jab banda khuda kai samnay hazir hota hai toh uska lazmi taqaza yai bh hai kai uska shaur usay lazman buray kaamon pai mulamat karta hai aur is baat ka imkaan barh jata hai kai woh aik na aik din un kamon sai ruk jayega agar pabandi sai namaz parhay toh.
Please see for response of Ghamidi Sahab:
Salah kai maani par main pehlay bh Ghamidi Sahab ki kuch discussions share kar chuka hun, agar unko sunnay kai baad bh agar koe sawal hoo toh alag sai kisi aur thread main kar lain:
Sponsor Ask Ghamidi