Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Doubts About Itmam E Hujjat

  • Doubts About Itmam E Hujjat

    Posted by ashif ahmed on September 24, 2022 at 6:55 pm

    mein direct reference nehi de raha hu umeed karta hu ki apko pata chal jayega mere sawal o ka

    Q.1, quran mein hei din mei koi zabar nehi hei ..?

    Q. 2, quran mein hee allah ne kaha ki tum chaho toh haq ko ikhtiyar karo ya kufr ko

    agar meine jaise suna thik hei toh

    yeh rules sabke liye hee kaha gaya hoga agar in ayat o ke context mei kuch alag se specific logo nehi kaha toh.

    agar sabke liye toh mushriq ko maut ki saza kyo … agar accept nehi kiya dawat ko aur itmam e hujjat ke bad jo azab hota hei tab bhi yeh contradiction mil jayega ek taraf kaha ja raha hei ki jo ikhtiyar karo tumhare marji ek taraf saza ikhtiyar na karne par aur

    Q.3 itmam e hujjat ki saza (azab)kab milta hei agar koi quam me koi bhi accept na kare sirf tab azab nazil hota hei …? aur kya 1 ya 2 bhi ya kuch log accept karle tab bhi unpar azab nazil hoga

    ashif ahmed replied 1 year, 7 months ago 2 Members · 4 Replies
  • 4 Replies
  • Doubts About Itmam E Hujjat

    ashif ahmed updated 1 year, 7 months ago 2 Members · 4 Replies
  • ashif ahmed

    Member September 24, 2022 at 7:22 pm

    aur moulana Ishq ka argument bhi bohot strong hei

    agar Islam ke jabar nehi hei toh kyo azab

    aur Jin Jin qaum o par azab hua hei

    kya unka qasoor sirf yeh ki unhone inkar liya is liye jabki allah khud kehta hei chahe jo ikhtiyar karo kufr ko ya hidayat ko

    aur waise bhi sab qaum o par kisi na kisi aur wajah se azab nehi hua..?

    jaise ki loot a. s aur qaum e samodd ko bhi utke galti par hee saza mili na ki shirk ya kufr ke liye ..?

  • Umer

    Moderator September 25, 2022 at 11:31 pm

    Response series main in sab sawalat ka jawab diya jaa chuka hai, aap sun lain agar nhi sunni toh. Aur agar phir bh apko doosra nuqta e nazar zayada mazboot lagta hai toh aap is nuqat e nazar ko ikhtiyar kar lain. Is main zayada pareshan honay wali baat nhi hai, Allah nai apko jo aqal di hai uska dayanatdari sai istemal karain, Akhirat main sawal issi par hoga aslan na kai yai kai Ghamidi Sahab ka nuqta e nazar apnaya thaa ya molana ishaq ka:

    Discussion 67008

  • Umer

    Moderator September 25, 2022 at 11:32 pm

    Please also refer to the following thread:

    Discussion 37972

  • ashif ahmed

    Member September 25, 2022 at 11:34 pm

    ji shukriya inshahallah meine 1,2 dekh kar aur nehi dekha tha pura dekhne ke bad kuch sawal reh jaye toh puchunga

You must be logged in to reply.
Login | Register