-
Luh-e-mehfooz, Shaitan’S Power And Black Magic
AOA Sir
Ap ny jawb main kaha Tha
“Luh-e-mehfuz kai baray main aur jinn-o-shayaten kai baray main hamain bhot kam malumat dee gae hai, toh uski bunyad par koe bh baat qatae tor pai nhi kahi jaa sakti”
is se apki kya murad ha k quran ny btya nai tafseel se k shaitan taqdeer badal sakte hn jo luh-e-mehfooz pe likhi ha is lye ye samjha jay ga k shaitan luh-e-mefoz ko badal bh sakte hain aur nahi bh ya phir wo badal nai skte lakin log bs aisa sochte hn aur shirk krte hain??
agr aisa ha tu phir tu ALLAH PAK ne khud shaitan ko ikhtiyar dy dya ha taqdeer badlne ka phir dua b badal skti aur shaitan b phir tu shirk pehle se majood ha kisi ko krne ki zarort nai
agr ye sch ha log shaitan se mada le kr ameer ho jaty hn apne bry bry kaam krwate hn ya koe na jaiz kaam lete hn tu shaitan unki taqdeer badal rha ALLAH Maaf kry? ye concept samjh nahi arha. bs ye kehna ka quran ma nahi ha kuch is bry ma lakin ye is bt ki wazahat kaisy kry ga logon k lye k ALLAH PAK ny apna ikhtyr kaisy dy dya ye sb tu ALLAH k hath ma hai?
ya ALLAH PAK ko pta tha ye madad ly ga shaitan se ye kam kry ga shaitan us sy barh kr nai kr skta?
aur kya sitary b taqdeer b badalte hn ya bs sitaron se future btya jta ha
ye wazahat kr dijye bht pacheeda masla ha kuch samj nai arha uljhan ka bais hai
Shukria
Sponsor Ask Ghamidi