-
Non Muslim Festivals Related To Prophet We Also Believe
AOA
main aik sawal k mutaliq janna chahti hun
Muslims dosre non muslims ko unke festivals pe wish kr skte hn religious background rakhte hn tb bhi aur cultural hn tb bhi lakin khud shirk taqreeb ma shirk ma ya kisi bad ikhlaqi ma shamil nahi hn gy un se bachte hove shamil bhi ho skte hn wish b kr skte hn. Aik hadith be bayan ki jati hai k prophet Muhammad S.A.W ne jews k festivals ma 2 rozy rkhne ka kaha jb Prophet Musa A.S Pharon se Azad hove
lakin isko is tarh bhi samjha ja sakta ha k prophet Musa A.S humre b prophet hain is lye unhon ny rozy ka kaha k hum shamil ho skte hn non muslim k festivals ma kiun k waha mamla Prophet Musa A S ka tha jin ko hum b prophet mante hain lakin jaisy hindus k festivals ma jana unko wish krna jaisy diwali etc tu unka tu humre religion se taluq nahi hai kya waha shirkat mana nai hogi?
aur kya Prophet Muhammad S A.W ki is hadees k mutabik hum bs un non muslims ko wish kr skte hn jin k prophet humre b prophet hain??
Sponsor Ask Ghamidi