Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Use Of Wasila In Prayers

Tagged: 

  • Use Of Wasila In Prayers

    Posted by Mohammad Hasan on April 2, 2023 at 11:49 pm

    Jaise bhai dua me ye khana ki Ramzan k sadqe se ya rasolallah k sadqe allah tala hamari dua qubool krke. aese mangna jaiz h

    Umer replied 1 year ago 2 Members · 14 Replies
  • 14 Replies
  • Use Of Wasila In Prayers

    Umer updated 1 year ago 2 Members · 14 Replies
  • Umer

    Moderator April 3, 2023 at 1:42 am
  • Mohammad Hasan

    Member April 4, 2023 at 6:00 am

    Jamia tirmidhi 3578

    Bhai isme bayan h ki ek nabeena sahabi the unko rasolallah kha ki mere wasile se dua kar aur unko sikhayi dua to unko allah ne binayi de di ye hadees k bare me wajeh kr dijye

    Sahi h Bukhari 1010

    Aur is hadees me Umar RA k jamane me barish nhi huyi to unhone Abbas RA k wasile se dua manga to barish huyi iski Wajahat kr dijye

    • Umer

      Moderator April 4, 2023 at 2:40 pm

      Nabi (sws) ki hayat main toh unka wasila bhot barkat ka bais thaa kyunkai woh samnay mojud thaay aur iski ijazat bh daitay thaay aur Quran main bh kaha gaya hai is baat ka (Quran 63:5 and Quran 4:65). Laikin unki is dunya sai wafat kai bad ab unka wasila istemal nhi kiya jaa sakta.

      Hazrat Abbas sai barish kai liya Allah sai dua karwae gaye na kai kisi aur nai unka wasila istemal kiya. Aur waisay bh yai sab unki hayat main kiya gaya na kai unki wafat kai baad. Kisi naik shaks ki hayat main us sai dua karwai jaa sakti hai.

    • Mohammad Hasan

      Member April 4, 2023 at 5:05 pm

      Useme to h ki ya allah Hazrat Abbas k wasile se dua mang rha ki barish ho

    • Umer

      Moderator April 6, 2023 at 12:39 am

      Us main woh Hazrat Abbas (rta) sai dua mangwa rahay hain aur Allah sai bh dua kar rahai hain, kai inki dua kai wasilay sai barish kar dai. Asal main Hazrat Abbas zinda mojud hain aur dua kar rahay hain, jab kai Hazrat umar nai khud kaha hai kai Hazrat Muhammad (swS) chunkay ab zinda nhi rahay dunya main, isi liya ab un sai dua ka nhi kaha ja sakta, balkay unkai chacha sai kaha gaya hai.

    • Mohammad Hasan

      Member April 6, 2023 at 1:00 am

      Bhai Abbas RA Hasan Aur Husain RA k bhai bhi h na

  • Mohammad Hasan

    Member April 4, 2023 at 5:16 pm

    Aur kuch log mazar me jake unse khte h ki dua kriye

    • Umer

      Moderator April 6, 2023 at 12:39 am

      kinsai kehtay hain?

    • Mohammad Hasan

      Member April 6, 2023 at 1:01 am

      Mtlb jo bhi unke buzurg wha dafan h

    • Umer

      Moderator April 6, 2023 at 1:02 am

      Yai to shirk hai bhai.

    • Mohammad Hasan

      Member April 6, 2023 at 1:08 am

      Mtlb bhai jo unke buzurg ya aur koi jaise Ajmer me jake unki dargah h wha pr jake unse khte h ki hamare liye dua kriye to ye shirk h na bhai

    • Umer

      Moderator April 6, 2023 at 1:14 am
  • Mohammad Hasan

    Member April 19, 2023 at 9:40 am

    Bhai to phir kisi se khna ki hamare liye dua kariyega to phir bhai ye bhi to ek yeh k whi huwa na jo log mazaro ke jake unse khte h

    Sidhe allah se sirf dua krni chahiye khud

    Aur kisi se pucho ki kaise ho to khte h ki duaein h to kya khna sahi h

    • Umer

      Moderator April 19, 2023 at 9:21 pm

      Kisi bh zinda shaks sai dua ka kaha jaa sakta hai, laikin kisi murda shaks sai dua ka kehna shirk ban jayega.

You must be logged in to reply.
Login | Register