Forums › Forums › Sources of Islam › How To Determine Sunnah And How To Separate It From Akhbar-i-ahad?
Tagged: Ijma, Principles, Sunnah, Tawatur
-
How To Determine Sunnah And How To Separate It From Akhbar-i-ahad?
Posted by ashif ahmed on June 4, 2022 at 8:27 amhum ko kaise pata chalega konsi bat sunnah konsi akhbar e ahad.. hei ..?
sunnah ko kaise pehchana ja sakta hei
ashif ahmed replied 2 years, 7 months ago 3 Members · 8 Replies -
8 Replies
-
How To Determine Sunnah And How To Separate It From Akhbar-i-ahad?
-
Umer
Moderator June 5, 2022 at 11:10 pmSunnah Musalmanon kai ijma aur amli tawatur main pai jaati hai, usko ilm ki satah pai alag karnay ka kaam ulema kartay hain, laikin woh Musalmanon kai amal main jaari-o-sari hai. Tafseel kai liya neecahy waali discussion aur is main diya gaye links ko ghaur sai sunnain takai hamara nukta-e-nazar apko poori tarah samajh aa jaye. Uskai baad mazeed koe sawal hoo toh zaroor poochain:
-
Rana Jabran
Member June 14, 2022 at 8:12 amOk sir thanks 👍
-
Rana Jabran
Member June 14, 2022 at 8:19 amSir aise Amali tawatur k tarjeeh Ahadees py phr to Jo Maslak hai Ahl e hadees wo sirf Hadees k base py ikhtlaf krty hn wo galt hwy?
-
Umer
Moderator June 16, 2022 at 6:50 amNhi ghalt nhi hai, bas cheezon ko unki jagah pai rakhnay ka masla hai. Ahl-e-Hadees Hazrat Akhabr-i-Ahad ko bh Sunnat kehtay hain jiski wajah sai har amal deen ban jaata hai jo akhbar-i-ahad sai akahz hoo. Hamaray nazdeek hadees main bh wohi deen bayan hoo raha hoota hai jo Sunnat kai tor par musalmanon main jaari kiya jaa chuka thaa, joo aam tor pai usi deen ki tafheem-o-tabeen hai aur usi ki sharah-o-farah hai. Farq categorization ka hai bunyadi tor pai.
Neechay waali video bh daikh lain:
-
-
Rana Jabran
Member June 19, 2022 at 3:16 amOk sir shukria
-
Rana Jabran
Member June 19, 2022 at 3:18 am-
Umer
Moderator June 20, 2022 at 5:56 amApnay ikhlaq ki pakeezgi kai liya jo bh amal kiya jayega woh amal-e-saleh kehlayega aur iska shaur hamaray andar hamari fitrat aur aqal main mojud hai. Allah ki shariat is par mazeed rehnumai karnay kai liya nazil hue hai.
____
(Topic sai hat kai mukhtalif noiyat ka sawal hoo toh usay alag sai naya sawal bana kar post kardiya karain. Shukriya)
-
-
ashif ahmed
Member June 20, 2022 at 11:05 amI have one more question Is there any hint in the Qur’an about Sunnah?
Sponsor Ask Ghamidi