Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam How To Determine Sunnah And How To Separate It From Akhbar-i-ahad?

  • How To Determine Sunnah And How To Separate It From Akhbar-i-ahad?

    ashif ahmed updated 1 year, 9 months ago 3 Members · 8 Replies
  • Umer

    Moderator June 5, 2022 at 11:10 pm

    Sunnah Musalmanon kai ijma aur amli tawatur main pai jaati hai, usko ilm ki satah pai alag karnay ka kaam ulema kartay hain, laikin woh Musalmanon kai amal main jaari-o-sari hai. Tafseel kai liya neecahy waali discussion aur is main diya gaye links ko ghaur sai sunnain takai hamara nukta-e-nazar apko poori tarah samajh aa jaye. Uskai baad mazeed koe sawal hoo toh zaroor poochain:

    Discussion 69585

  • Rana Jabran

    Member June 14, 2022 at 8:12 am

    Ok sir thanks 👍

  • Rana Jabran

    Member June 14, 2022 at 8:19 am

    Sir aise Amali tawatur k tarjeeh Ahadees py phr to Jo Maslak hai Ahl e hadees wo sirf Hadees k base py ikhtlaf krty hn wo galt hwy?

    • Umer

      Moderator June 16, 2022 at 6:50 am

      Nhi ghalt nhi hai, bas cheezon ko unki jagah pai rakhnay ka masla hai. Ahl-e-Hadees Hazrat Akhabr-i-Ahad ko bh Sunnat kehtay hain jiski wajah sai har amal deen ban jaata hai jo akhbar-i-ahad sai akahz hoo. Hamaray nazdeek hadees main bh wohi deen bayan hoo raha hoota hai jo Sunnat kai tor par musalmanon main jaari kiya jaa chuka thaa, joo aam tor pai usi deen ki tafheem-o-tabeen hai aur usi ki sharah-o-farah hai. Farq categorization ka hai bunyadi tor pai.

      Neechay waali video bh daikh lain:

      Discussion 50830 • Reply 50870

  • Rana Jabran

    Member June 19, 2022 at 3:16 am

    Ok sir shukria

  • Rana Jabran

    Member June 19, 2022 at 3:18 am

    Sir picture k bt ko thora explain kr dngy plz smjh Ni aye sahi

    • Umer

      Moderator June 20, 2022 at 5:56 am

      Apnay ikhlaq ki pakeezgi kai liya jo bh amal kiya jayega woh amal-e-saleh kehlayega aur iska shaur hamaray andar hamari fitrat aur aqal main mojud hai. Allah ki shariat is par mazeed rehnumai karnay kai liya nazil hue hai.

      ____

      (Topic sai hat kai mukhtalif noiyat ka sawal hoo toh usay alag sai naya sawal bana kar post kardiya karain. Shukriya)

  • ashif ahmed

    Member June 20, 2022 at 11:05 am

    I have one more question Is there any hint in the Qur’an about Sunnah?

You must be logged in to reply.
Login | Register