-
Can A Government Punish Homosexuality?
I have watched Sir Ghamdhi 22 min long video on homosexuality and Not satisfied with the answer. Jab tak ghamdhi sahab ne iss amal ko ikhlaqi lihaz se ghalat qarar dene k lie istadlaal kia tab tak baat bilkul aqali lag rhi thi. Lakin me ghamdhi sahb k jawab k dosere hisay se ikhtelaaf kerta hun jaha per unho ne kaha k qanoon sazi hoskti hai. ghamdhi sahab k hi endorse ki hui premises iss bat ki ijazat nhi deti k iss mamlay me sahib a iqtedaar ko ye haq hasil ho k maroof or munkar k ilawa kisi mamlay me qanoon sazi ker sakay. Maroof or munkar ki tafseel me ghamdhi sahb kehte hain k asaa amal jis me kisi dosere insaan ki haq talfi huti ho. Jab k iss muamlay me dono ki raza huti hai tu haq talfi ka swal hi paida nhi huta. Traffic k qnoon ki misal issliee nhi di jaa sakti kiu k uss se ap dosere logo ki jaan ko khatre me dal dete ho jin ki marzi shamil nhi huti apke rawaya per. Orr akhiri jumla b kuch ghalt mehsos hua k agar new methods se safai ka khiyal rakhaa jai tu waha khana dal k khaa lein , yehi bat hum jins parast mian biwi k taloqaat k bare me b keh sakte hain.
Please admin agar mera ye sawal ghamdhi sahb tak pohancha dein k kia hum jins parasti per saahib e iqtedaar ko ye haq hasil hai k wo iss mamlay me qanoon sazi kere agarche iss amal me kisi insan ka haq talf nhi horha. Or agar ghamdhi sahb ne iss bare me kuch likha ha tu wo b refer ker lein please.
JazakAllah
Sponsor Ask Ghamidi